Friday, October 18, 2013

Eid K asal Mani

Eid.Eid maihaiz aek chota lafz hae lekin jesy hr choti chez k pechay kuch haqeqatay zurur hte ha isi tra is lafz k pechay bhe hazaro jazbat dabay huay hae.Aesay jazbat jo aksr to zaheer hjatay hae lekin baz dafa logo ki zuba nahe blkay ankhein zaheer krte hae.Eid k mani hr aek k lye alag htay hae.Jesy k aek khatay petay ghranay ki lrki k lye Eid k mani hae nai(new) churya,naya dress,nayay sandals etc dusri trf aek gareeb ghr ki ma k lye Eid ka lafz aek khof hae k phir uski beti nayay kapro ki farmaish krayge aur usay phir koi bahana bna k talna hga.kahe gosht anay ki khushi to ksi bchay ko us k janwar say duri ka gam. Ksi ko rishtay daro say milnay ki khushe to ksi ko wo ronaqay khatam honay ka gam.Har koi alag nazaryay say eid k mafhum ko samajta hae.Hazrat Ibrahim aur Hazrat Ismail k lye bhe wo waqt ka nazrya kuch alag hoga jb Allah nay Hazrat Ibrahim ki Qurbani qubul ki the aur un k betay k bjayay aek dumbay(sheep) ko zibah krnay ka hukum diya tha.wo khushe apnay parwardigar ko razi krnay ki,wo apnay betay ko phir sy zinda seenay say lganay ki..

waqae har aek ka apna nazarya hota hae.lekin aksr kuch tehwaro p hum dusro k lye nahe blkay apnay lye he sochnay lagtay hae.Kya hum kabhe eid may un bcho k baray may sochtay ha jo mahaiz hmay eid k kapro may dekh k sochtay hongay Kash! wo hamare tarah nayay kapray pehan saktay,Kya hum ye sochtay hae k un logo k tasurat kya hotay hongay jin ka koi rishtedar,dost o ehbab mojud na ho..aesi pheeki eid ka un k lye kya faida? hmaray ird gird he itnay log hae jinhay hmare srf aek muskurahat ki zururt hae.Eid to sirf aek bahana hae khushi batnay ka wrna agr hum chahay to roz he kitnay logo ko khushya dy sktay hae..AGAR HUM CHAHAY TO. ye itna bhe mushkil nahe..bs zara si himmat aur zara sa pyar dil may hona chayay.Phir waqae dhanak k wo 7 rang har aek chehray p khushi ban k jagmagayayengay aur apka dil itna mutmain hoga k jesy ap nay jannat pa li ho.

No comments:

Post a Comment